Your Ad Here

Monday, May 4, 2009

Romantic Lyrics



Yeh na thi hamaari kismat ke visaal-e-yaar hota,
Agar aur jeete rahte yehi intzaar hota.

Tere waade par jiye ham, to yeh jaan jhoot jaana,
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota.

Koi mere dil se pooche tere tir-e-nim kash ko,
Yeh khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota.

Yeh kahaan ki dosti hai keh bane hain dost naasih,
Koi chaara saaz hota, koi ghamgusaar hota.

Gham agarche jaan gusal hai, pe kahaan bachen ke dil hai,
Gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota.

Kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai,
Mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota.

Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na
gharq-e-darya,
Na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hota.

Use kaun dekh sakta, ke yagaana hai woh yakta,
Jo dui ki bu bhi hoti to kahin do chaar hota.

Yeh masaail-e-tasawaf, yeh tera bayaan Ghalib,
Tujhe ham wali samjhte jo na baada khwaar hota




*****

No comments:

Post a Comment