Hath haatho mai leke puchti ho, puchun kya?
sab le kar mera kehti ho, kuch maanguN kya?
Bechain hoke kehna, tumko meri pehchaan nahi
apna aaina tumhe de diya, aur ab mai du kya?
Rafta rafta raazon ko mere zabt kar liya..
haaye! phir kehna anjaan ka, mai tumhara Hun kya?
Meri dhadkan sunti ho, saansen bhi ginti ho..
Aur ye kaisa sawal? mai tumhe chhuun kya??
Meri shab o sahar ho guzar, teri baaton mai!
Aur tum kaho mujse, tumse aake milu kya?
Kitni baar in aankhon ne sunaayi daastan..
Aur tum ho k puche jaate ho, hai aarzoo kya?
Tumhe kya khabar sookun is nazar ka tum ho!
varna kise yaha khabar thi, hai khushboo kya?
Na puchna ab ki baar kahaan ho, kaise ho
tum ho toh sab pyara hai, aansoon kya, lahoo kya!!

No comments:
Post a Comment